Lyrics of Ek Bhakth Ki Bhakti Ne Dekho - एक भक्त की भक्ति ने देखों
ek bhakt ki bhakti ne dekho
prithvi par swarg utar liya
bhagwan wahi karte hai yaha
jo man me unhone dhar liya
kitni hi baar dayanidhi ne
kitni hi baar dayanidhi ne
sansar ko aake ubar liya
jab jab dharti par dharm ghata
tab tab prabhu ne avtaar liya
karo hari darshan, hari darshan
karo hari darshan karo hari darshan
ab tak leela wa ki dekho
prabhu brahman ki jhanki dekho
brahman ne bali ki pariksha li
bhagwan hokar bhi bhiksha li
phir dattare avtaar hua
sare jag ka udhar hua
mata ansuya dhnay huyi
mata ansuya dhnay huyi
satiyo me sati ananay huyi
satiyo me sati ananay huyi
jab jag me paap prachand badha
anyay badha pakhand badha
tab karne ko leela lalaam
prakate prithvi pe prashuram
prabhu prashuram
ikkis baar shatriy maare
kar diye nashat paapi sare
phir treta me prabhu ram huye
unke dwara kai kaam huye
hanuman unpe aashakt huye
raghupati ke anupam bhakt huye
sita apman ka badla ram ne
jakar sagar paar liya
jakar sagar paar liya
jab jab dharti par dharm ghata
tab tab prabhu ne avtaar liya
karo hari darshan, hari darshan
karo hari darshan karo hari darshan
phir rishav dev avtaar huye
ye mukti ke aadhar huye
inko tum tirthan kar jano
tribhuvan ke mangal gar mano
phir dwapar me nandlala janme
bas gaye wo jan jan ke man me
duniya ko inhi ne di geeta
aur karam yog se jag jeeta
phir jag me vedvyas aaye
bhandar gyan ka munivar laye
mahabharat aur bhagwat rachi
jan sadaran ko bahut jachi
jan sadaran ko bahut jachi
phir sudh budh avtaar huye
darshan se mugdh sansar hua
wo shanti dut bankar aaye aur
mantr ahinsa ka laye
ab ant me kalki janmenge, janmenge
dushto se wo badla lenge, badla lenge
kalyug badlega satyug me
sansar jeeyega navyug me
manav ke liye nij maathe pe
har yug me hari ne bhar liya
har yug me hari ne bhar liya
jab jab dharti par dharm ghata
tab tab prabhu ne avtaar liya
karo hari darshan, hari darshan
karo hari darshan karo hari darshan
hari darshan hari darshan