Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ek Aas Liye
|
Hemlata, Suresh Wadkar, Jaspal Singh | Ravindra Jain | Mithun Chakraborty | |||
Khwaab (1980) | Ravindra Jain | ||||||
ek aas liye vishwas liye mera man mandir
ke nisha dhundhe
ek aas liye vishwas liye mera man mandir
ke nisha dhundhe
jise aas na ho jise aas na ho vishwas na ho
vo kya dhundhe kaha dhundhe
ek aas liye vishwas liye mera man mandir
ke nisha dhundhe
dharti se aasman tak manjilo ke silsile
vo kya kare jise manjil mil ke bhi na mile
yu hi hota hai jivan me rahta jo chhupa man me
mere sathi vo mil jata hai vo bina dhundhe
ek aas liye vishwas liye mera man mandir
ke nisha dhundhe
sapna ho jinme koi soti nahi hai vo aankhen
sathi adhure sapne meri bhi aankho me jhanke
har sukh se bura dukh hai dukh ka apna sukh hai
mere sathi sab kuch na mile yaha dhundhe
ek aas liye vishwas liye mera man mandir
ke nisha dhundhe
nit bhor ki ye lali deti samjhauta jindagi ka
jisne andhere kate hoga savera bhi usi ka
koi bhi to sahara de to jine ka ishara de to
mere sathi vahi manjil tu jaha dhundhe
ek aas liye vishwas liye mera man mandir
ke nisha dhundhe mera man mandir mera man mandir