Lyrics of Dushman Na Kare Dost Ne Wo Kaam Kiyaa Hai - दुश्मन ना करे दोस्त ने वो काम किया है
dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
umr bhar ka gam hame inaam diya hai
dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
umr bhar ka gam hame inaam diya hai
tufaan me hamko chhod ke saahil pe aa gaye, aa
tufaan me hamko chhod ke saahil pe aa gaye
saahil pe aa gaye
naakhuda ka
naakhuda ka hamne jinhe naam diya hai
umr bhar ka gam hame inaam diya hai
dushman na kare o
pehle to hosh chhin liye zulm-o-sitam se, aa
pehle to hosh chhin liye zulm-o-sitam se
zulm-o-sitam se
diwaanagi ka
diwaanagi ka phir hame ilzaam diya hai
umr bhar ka gam hame inaam diya hai
dushman na kare o
apne hi giraate hai nasheman pe bijaliya, aa
apne hi giraate hai nasheman pe bijaliya
nasheman pe bijaliya
gairo ne aa ke
gairo ne aa ke phir bhi use thaam liya hai
umr bhar ka gam hame inaam diya hai
dushman na kare o
ban ke raqib baithe hai wo jo habib the, aa
ban ke raqib baithe hai wo jo habib the
wo jo habib the
yaro ne khub
yaro ne khub farz ko anjaam diya hai
umr bhar ka gam hame inaam diya hai
dushman na kare dost ne wo kaam kiya hai
umr bhar ka gam hame inaam diya hai