The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Dushman Hai Sab Ki Jaan Ki Aur Sab Ki Jaan Hai
0
Mohammed Aziz Usha Khanna
Besahara (1987) Masti Bhare Geet
Lyrics of Dushman Hai Sab Ki Jaan Ki Aur Sab Ki Jaan Hai - दुश्मन है सबकी जान की और सब की जान है

dushman hai sabki jaan ki aur sab ki jaan hai
kahte hai jisko roti badi baiman hai

kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya
tufan kaise kaise uthati hai rotiya
katil se pehle kattle karati hai rotiya
aakhir me usko fansi chadhati hai rotiya
do gaj zami se uncha uthati hai rotiya
kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya

duniya ki har burayi me roti ka hath hai
besharmi behayai me roti ka hath hai
mazlum ki duhayi me roti ka hath hai
muflish ki jag hansayi me roti ka hath hai
insaniyat ko nanga banati hai rotiya
kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya

roti se chalte hai duniya ke kaam kaz
roti se barkarar hai shaho ke takhattaz
roti hi yaro karti hai sare jaha pe raaz
roti se hai ye husn ke bazar ye samaj
kothe pe nariyo ko nachati hai rotiya
kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya

roti ke sab diwane hai kya pir kya jawa
roti hai aisa tir ke jiski nahi kaman
roti lagaye zakham to milta nahi nisha
chhoti si roti rutbe me saitan ki hai ma
iman ko bhi chhalni banati hai rotiya
kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya

roti hi lene aaya tha changej khan idhar
darda halaku iske liye ghume dra badar
hitler bhi ne na payi jab ye roti pet bhar
khandar bana ke chhod gaya guzra wo jidhar
kuch is tarha se aag lagati hai rotiya
kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya

jannat se is roti ne aadam ko nikala
dozakh me isi ke dam se hua ujala
nagin ye dase jisko uska nahi sambhala
pani bhi nahi mang sake mangne wala
hum khate hai ya humko hi khati hai rotiya
kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya

achhe bhale insan ko ye roti bech de
do kodi me imaan ko ye roti bech de
allah ke farman ko ye roti bech de
aa jaye to bhagwan ko ye roti bech de
har chij ka bazar lagati hai rotiya
kya kya tamashe dekho dikhati hai rotiya
rotiya rotiya