Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Duniya Me Har Kisee Kee Kismat Juda Juda Hain
|
||||||
Chhota Bhai (1966) | |||||||
duniya me har kisee kee kismat juda juda hain
ek motiyo se khele ek khak me mila hai
ek woh hai jo maje se phulo pe so raha hai
aur dusra bichara kato pe ro raha hai
ajee tum hee kaho yeh kaisa insaf ho raha hai
duniya me har kisee kee
paisa hai pas jis key duniya hai uss key bas me
duniya usiko mane jo khaye jhutee kasme
ajee tum hee kaho samajh kar achchhee hain kya yeh rasme
duniya me har kisee kee
sab ek jagah pe baithe har koyee ek sa
uncha naa koyee nicha chhota ho naa bada ho
ban jaye saree duniya ek ghar toh kya maja hai
duniya me har kisee kee