Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Duniya Ek Kahani Re Bhaiya
|
Mohammed Rafi | Husnlal Bhagatram | ||||
Afsana (1951) | Saraswati Kumar Deepak | Philosophical Songs | |||||
duniya ek kahani re bhaiya duniya ek kahani
duniya ek kahani re bhaiya duniya ek kahani
tune kahdi maine kahdi duniya ek kahani
is duniya ke mele me koyi raja koyi rani
duniya ek kahani re bhaiya duniya ek kahani
duniya ek kahani re bhaiya ek kahani
is mele me har jit hai aur mele ka mel
is mele me udan khatole hathi ghode rel
kahi hindole kahi tamashe tarha tarha ke khel
is mele me pana khona jiwan behta pani
re bhaiya duniya ek kahani re bhaiya duniya ek kahani
duniya ek kahani re bhaiya duniya ek kahani
hariyal lelo pariyal lelo lelo chanda tara
aao chunnu aa o munnu
aao chunnu aa o munnu lelo naya gubbara
muniya rani hame bata do kya hai nam tumhara
kas ke dor pakdna bitiya mat karna nadani
is dhage me bandhi rahegi teri preet purani
re bhaiya duniya ek kahani re bhaiya duniya ek kahani
duniya ek kahani re bhaiya duniya ek kahani
aaj yaha kal kaha hame le jaye gi taqdir
kon kahe kis ki ankho me kab bhar aaye neer
ek bar jo aisi preet ki mitati nahi lakir
ek bar jo aisi preet ki mitati nahi lakir
bhul naa ja na bhatak na ja na maya ani jani
re bhaiya duniya ek kahani re bhaiya duniya ek kahani
duniya ek kahani re bhaiya duniya ek kahani
duniya ek kahani re bhaiya duniya ek kahani
tune kahdi maine kahdi duniya ek kahani
is duniya ke mele me koi raja koyi rani
duniya ek kahani re bhaiya duniya ek kahani
duniya ek kahani re bhaiya duniya ek kahani
dur desh se panchhi aaya
dur desh se panchhi aaya milta nahi basera
abhi talk uski aankho mei chaaya hua andhera
aandhi ne inke tinko ko charo or bakhera
bani hue hai ek afsana teri yaad purani
re bhaiya dooniya ek kahani re bhaiya duniya ek kahani
duniya ek kahani re bhaiya duniya ek kahani