Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Duniya Bahot Hi Kamaal Hai
|
Kishore Kumar | R D Burman | Rishi Kapoor | |||
Duniya (1984) | Javed Akhtar | ||||||
kehanewale kehanewale kahe mayajal hai
ae brother zara jamake bajao achchha
mangata hai anglo indian type
kehanewale kehanewale kahe mayajal hai
phir bhi duniya bahot hi kamal hai
kehanewale kahe mayajal hai
phir bhi duniya bahot hi kamal hai kamal hai
kehanewale kehanewale kahe mayajal hai
phir bhi duniya bahot hi kamal hai
paison walon ki pyari yeh duniya
hai amiron ki sari yeh duniya
bhagwan unka bhala kare
paison walon ki pyari yeh duniya
hai amiron ki sari yeh duniya
jeb khanke toh duniya hasi hai
warna hai ghum ki mari yeh duniya
dekh lo tum a ha dekh lo tum hamara jo hal hai
phir bhi duniya bahot hi kamal hai kamal hai
kehanewale kehanewale kahe mayajal hai
phir bhi duniya bahot hi kamal hai
jab haso toh rulati hai duniya
jan kitani jalati hai duniya
jab haso toh rulati hai duniya
jan kitani jalati hai duniya
pinewale ko badnam kar de
aur khud hi pilati hai duniya
kabhi sidhi ay hay
kabhi sidhi kabhi ulati chal hai
phir bhi duniya bahot hi kamal hai kamal hai
kehanewale kehanewale kahe mayajal hai
phir bhi duniya bahot hi kamal hai kamal hai bhai
yad rakhe koyi ya bulaye mare thokar
ya sar pe bithaye hay hay hay
yad rakhe koyi ya bulaye mare thokar
ya sar pe bithaye
ki farak painda hai isme yaro
duniya hai char din ki saraye
yeh bahot hi bahot hi purani misal hai
phir bhi duniya bahot hi kamal hai kamal hai
kehanewale kehanewale kahe mayajal hai
phir bhi duniya bahot hi kamal hai