Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Dunia Ko Nahi Manzur To Tera Dard
|
Suraiya | Anil Biswas | Suraiya | |||
Waris (1954) | Majrooh Sultanpuri | Sad Songs | |||||
dunia ko nahi manjur to tera dard chupa kar dekhenge
har jakham ki ab khamoshi ka paiband laga kar dekhenge
kuch bhi na bolenge kuch bhi na bolenge
tumhare samne baith ke ro lenge
tumhare samne baith ke ro lenge kuch bhi na bolenge
tumhare dar tha aasra dil ka yaha bhi kar gayi
takdir faisla dil ka yaha bhi kar gayi
chaman me aake bhi chunna pade wahi kate
chaman me aake bhi chunna pade wahi kate
kahe to kisse kahe hum ye majra dil ka
muh bhi na kholenge kuch bhi na bolenge
tumhare samne baith ke ro lenge kuch bhi na bolenge
tumhara dard bana hai mere jigar ke liye
ye aasra bhi bahut hai
mere jigar ke liye ye aasra bhi bahut hai
jo mil gayi thi kabhi aake in nigaho se
jo mil gayi thi kabhi aake in nigaho se
wahi najar kaafi hai teri umar bhar ke liye
ham to na bolenge ham to na bolenge
tumhare samne ho baith ke ro lenge baith ke ro lenge