Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Dukho Me Jo Muskura Rahe The
|
Geeta Dutt | Bulo C Rani | ||||
Garibi (1949) | Shewan Rizvi | ||||||
dukho me jo muskura rahe the
unhe bhi tune rula ke chhoda
dukho me jo muskura rahe the
unhe bhi tune rula ke chhoda
jaha garibi ka tha thikana
wo ghar bhi tune mita ke chhoda
jaha garibi ka tha thikana
wo ghar bhi tune mita ke chhoda
hansi ko teri khushi jo samjhe
jaha pe gham ko hasi jo samjhe
saja aur payi usi rashte par
tujhi ko maana tujhi ko samjhe
unhe bhi ye din dikha ke chhoda
dukho me jo muskura rahe the
unhe bhi tune rula ke chhoda
koi shikayat ya koi shikwa
koi shikayat ya koi shikwa
bata de tujhse kabhi kiya tha
bata de tujhse kabhi kiya tha
jamane bhar ki nazar se chhupke
jo aasu hamne kabhi peeya tha
jamane bhar ki najar se chhupke
jo aasu hamne kabhi peeya tha
wo aasu tune gira ke chhoda
dukho me jo muskura rahe the
unhe bhi tune rula ke chhoda