Lyrics of Dukh Sukh Ki Har Mala Kudrat Hi Piroti Hai - दुख सुख की हर माला, कुदरत ही पिरोती है
dukh sukh ki har ek mala, kudrat hi piroti hai
oo dukh sukh ki har ek mala, kudrat hi piroti hai
hatho ki lakiro me, ye jagti soti hai
dukh sukh ki har ek mala, kudrat hi piroti hai
yado ka safar ye kare, gujari baharo me kabhi
aane wale kal pe hanse, udte nazaro me kabhi
ek hath me andhiyara, ek hath me jyoti hai
dukh sukh ki har ek mala, kudrat hi piroti hai
samna kare jo iska, kisi me ye dam hai kaha
iska khilona banke, hum sab jite hai yaha
jis rah se hum gujare, ye samne hoti hai
dukh sukh ki har ek mala, kudrat hi piroti hai
aaho ke zanaze dil me, aankho me chitaye gam ki
ninde ban gayi tinka, chali wo hwaye gam ki
isan ke andar bhi, aandhi koi hoti hai
dukh sukh ki har ek mala, kudrat hi piroti hai
khud ko chhupane walo ka, pal pal pichha ye kare
jaha bhi ho mitte nisha, vahi jake pav ye dhare
phir dil ka harek ghav, ashqo se ye dhoti hai
dukh sukh ki har ek mala, kudrat hi piroti hai
hatho ki lakiro me, ye jagti soti hai
dukh sukh ki har ek mala, kudrat hi piroti hai