Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Doli Chadh Ke Dulhan Sasuraal Chali
|
Mahendra Kapoor | Ravi | Babita | |||
Doli (1969) | Rajindra Krishan | Vidai (Doli) Songs | |||||
doli chadh ke dulhan sasuraal chali doli chadh ke
doli chadh ke dulhan sasuraal chali doli chadh ke
kaise hasrat se baabul ki dekhen gali
doli chadh ke dulhan sasuraal chali doli chadh ke
dil na maane magar aaj jana bhi hai
apane saajan se vaada nibhana bhi hai
dil na maane magar aaj jana bhi hain
apane saajan se vaada nibhana bhi hai
saamne ek nayi zindagi hai magar
pichhe gujara hua ek zamana bhi hai
doli chadh ke dulhan sasuraal chali doli chadh ke
kaise hasrat se baabul ki dekhen gali
doli chadh ke dulhan sasuraal chali doli chadh ke
doliya khush naseebo ki sajati rahe
mehandiyan sabke haatho mein rachati rahe
doliya khush naseebo ki sajati rahen
mehandiya sabke haatho mein rachati rahe
phool chehro ke bhi muskurate rahe
phool chehro ke bhi muskurate rahe
chudiyaan dulhano ki khanakti rahen
doli chadh ke dulhan sasuraal chali doli chadh ke
kaise hasrat se baabul ki dekhen gali
doli chadh ke dulhan sasuraal chali doli chadh ke
koi ghunghat hata dega jab raat ko
bhul jaayegi maike ki har baat ko
koi ghunghat hata dega jab raat ko
bhul jaayegi maike ki har baat ko
apane raaja ki baahon mein so jaayegi
apane raaja ki baahon mein so jaayegi
leke palkon mein khushiyon ki baraat ko
doli chadh ke dulhan sasuraal chali doli chadh ke
kaise hasrat se baabul ki dekhe gali
doli chadh ke dulhan sasuraal chali doli chadh ke