Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Do Nainon Ne Jaal Bichhaaya
|
Lata Mangeshkar | Roshan | ||||
Sanskar (1952) | Shailendra | Sad Songs | |||||
do naino ne jaal bichhaaya
aur do naina ulajh gaye, ulajh gaye
ek wahi bedard na samajha
duniya waale samajh gaye, samajh gaye
dil tha ek bachpan ka saathi
wo bhi mujhko chhod gaya
wo bhi mujhko chhod gaya
nikat anaadi anjaane se mera naata jod gaya
main birahan pyaasi ki pyaasi
saawan aaye baras gaye, baras gaye
baithe hai wo tan man ghere
baithe hai wo tan man ghere
phir bhi kitani dur hain wo
main to maari laaj sharam ki
kis kaaran majbur hai wo
jal me dube nain hamaare
phir bhi pyaase taras gaye, taras gaye
do naino ne jaal bichhaaya