Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Do Naina Tumhare Pyare Pyare Gagan Ke Ye Taare
|
Hemant Kumar, Geeta Dutt | S Mohinder | ||||
Shrimati Ji (1952) | Raja Mehdi Ali Khan | ||||||
do naina tumhare pyare pyare
gagan ke tare kare ye ishare
dil dil se milayenge dil dil se milayenge
jiya dhadke sharam ke mare sajan hum hare
chalenge tere dware teri duniya basayenge
teri duniya basayenge
do naina tumhare pyare pyare
gagan ke tare kare ye ishare
dil dil se milayenge dil dil se milayenge
chum rahe hai tujhko pawan ke
chum rahe hai tujhko pawan ke
jhonke halke-halke jhonke halke-halke
dil ke mai kone me khushi ke
dil ke mai kone me khushi ke
paimane hai chalke, paimane hai chalke
dekho sawan ke hanste nazare nigahe mila re
papiha pukare ye din phir na ayenge
ye din phir na ayenge
do naina tumhare pyare pyare
gagan ke tare kare ye ishare
dil dil se milayenge dil dil se milayenge
pyar bhara ek chota sa dil hai
bada bedard zamana bada bedard zamana
o mere sapno ke sathi
o mere sapno ke sathi
milke bichad mat jana
milke bichad mat jana
kiye wade jo nadiya kinare
piya na bisare unhi ke sahare
hum jivan bitayenge hum jivan bitayenge