The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Do Gharo Ki Aag Me Ghar Hazaro Jal Gaye
0
Shamshad Begum Chitalkar Ramchandra
Namoona (1949) Pyarelal Santoshi
Lyrics of Do Gharo Ki Aag Me Ghar Hazaro Jal Gaye - दो घरों की आग में घर हज़ारो जल गए

do gharo ki aag me ghar hazaaro jal gaye
bekasur begunaah kitne haay mar gaye, mar gaye
bhul kiski thi
aur kis ko paaymaali ho gayi
thi jaha jagmag diwali raat kaali ho gayi
raat kaali ho gayi

chalne waalo ke sath sab chalte hai
girte huo ka daman koi thaam le
himmat se koi kaam le
sahas se koi kaam le
himmat se koi kaam le
sahas se koi kaam le

nazar fer kar jaane waale
nazar fer kar jaane waale
ek baar to dekh zara
ek baar to dekh zara
hum to teri bhule hai
tu humko pehchaan le
himmat se koi kaam le
sahas se koi kaam le
himmat se koi kaam le
sahas se koi kaam le

bhul gaye vo vaade apne
bhul gaye vo vaade apne
jo laakho ke bich diye
jo laakho ke bich diye
muh fer chala jab waqt pada
haay bedardi samaj ye
himmat se koi kaam le
sahas se koi kaam le
himmat se koi kaam le
sahas se koi kaam le

aage badhne se darte hai
bharat jawan kyu, bharat jawan kyu
jinke dil me dard nahi hai
kahlaate insaan kyu, kahlaate insaan kyu
baithe hai ab tak mandir me chup
baithe hai ab tak mandir me chup
ho ke bhagwan kyu
dharti kyu na fat jaaye
gir jaaye na aasmaan kyu

girte huo ka daman koi thaam le
himmat se koi kaam le
sahas se koi kaam le
himmat se koi kaam le
sahas se koi kaam le