Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Diwane Ye Ladke Kuriyo Pe Marte Hai
|
Kavita Krishnamurthy, Amit Kumar | Rajesh Roshan | Deepak Tejori, Madhuri Dixit | |||
Aansoo Bane Angaarey (1993) | Masti Bhare Geet | ||||||
diwane ye ladke kudiyo pe marte hai
kudiyo jaise fashion dekho ye karte hai
kano me ye bali dekho chaal uspe matwali dekho
bekar hai koi kaam ye karte na dharte hai
gap shap me in logo ke din raat gujarte hai
is nayi gali ke ladko ki kudiyo ki tarah hi murat hai
kya khub safa chat muche hai
kya chikni chikni surat hai
ye gaal gulabi hai inke ye baal bhi lambe lambe hai
koi mardo jaise baat nahi ye chalte firte khambe hai
are jab dekho in chikno ko ye hamse ladte hai
apne maa bap ki daulat pe kambakhat akadte hai
diwani ye kudiya ladko pe marti hai
isiliye ladko ki ye copy karti hai
kate hue ye baal dekho tedhi medhi ye chaal dekho
ladke hai aage aage ye piche chalti hai
hum kyu na inko chede ye hamse jalti hai
ladko ki tarah hi ye kudiya peeti hai or peelati hai
sare aam ye sigrate fukti hai
fir kya kya nakhre dikhati hai
ye cap lagati hai dekho ye jean inhone pahni hai
aurat ki tarah sadi pahne ye bat hame bas kahni hai
ye jaan bujh ke ulte hi rashto pe chalti hai
khati hai jab thokar to hatho ko malti hai
are diwane ye ladke kudiyo pe marte hai
isiliye ladko ki ye copy karti hai
kano me ye bali dekho tedhi medhi ye chaal dekho
bekar hai koi kaam ye karte na dharte hai
hum kyu na inko chede ye hamse jalti hai