Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Din Mohabbat Ke Rate Hai Shabab Ki
|
Sulakshana Pandit, Shamshad Begum | Usha Khanna | ||||
Nateeja (1969) | |||||||
din mohabbat ke raate hai shabaab ki
sabki aankho me masti hai shabaab ki
har kadam pe chadha ha chadha ja raha hai
aaj jashn-e-bahaara hai
aaj jashn-e-bahaara hai
saaj bajate hai ghunghru chhanakte hai
najre milti hai saagar chhalakte hai
bekhudi saari mahfil pe chhayi hai
mahajbeeno ke aanchal dhalakte hai
in hawaao me khushbu hai gulaab ki
sabki aankho me masti hai sharaab ki
har kadam pe chadha ha chadha ja raha hai
aaj jashn-e-bahaara hai
aaj jashn-e-bahaara hai
aaj ki raat milne ka waada hai
kuch na puchho ki kya kya irada hai
unse kahne ki baate hajaaro hai
waqt kam hai mohabbat jyada hai
aisa lagta hai duniya hai ye khwaab ki
sabki aankho me masti hai sharaab ki
har kadam pe chadha ha chadha ja raha hai
aaj jashn-e-bahaara hai
aaj jashn-e-bahaara hai
bahaki bahaki nigaahe naa daalo ji
tikhe tikhe ye tevar sambhaalo ji
aisi ghadiya nahi roj aane ki
ab to humko gale se lagalo ji
humko luta hai najaro ne janaab ki
jin mohabbat ki raate hai shabaab ki
sabki aankho me masti hai sharaab ki
har kadam pe chadha ha chadha ja raha hai
har kadam pe chadha ha chadha ja raha hai
aaj jashn-e-bahaara hai
aaj jashn-e-bahaara hai