Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Din Bure Hote Hai Halat Bure Hote Hai
|
Mohammed Rafi | G S Kohli | ||||
Sangdil (1967) | Anjaan | ||||||
din bure hote hai halat bure hote hai
din bure hote hai halat bure hote hai
aadmi to bura nahi hota
din bure hote hai halat bure hote hai
har subha koi naya dard liye aati hai
har nayi sham aansu me dub jati hai
maut se pahle jo mar jate hai unse puchho
zindagi aadmi par kaise sitam dhati hai
din bure hote hai halat bure hote hai
aadmi to bura nahi hota
din bure hote hai halat bure hote hai
julm sahte hai tadapte hai aah bharte hai
hoke majbur khud ko ham tabha karte hai
zindagi me kai aise bhi mod aate hai
ham nahi chahate phir bhi gunah karte hai
din bure hote hai halat bure hote hai
aadmi to bura nahi hota
din bure hote hai halat bure hote hai
dava ke badle kahi jahar pila deti hai
dulhan ki mang ka sindur mita deti hai
ye garibi ye bhukh aur havash jine ki
yaha insan ko haivan bana deti hai
din bure hote hai halat bure hote hai
aadmi to bura nahi hota
din bure hote hai halat bure hote hai
aadmi to bura nahi hota
din bure hote hai halat bure hote hai