Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Dil To Rota Ho Magar
|
Suraiya | Husnlal Bhagatram | ||||
Pyar ki Jeet (1948) | Qamar Jalalabadi | Dard Bhare Geet | |||||
naa tadapne ki ijaajat hai, naa fariyaad ki hai
ghut ke mar jaau ye marji mere saiyaad ki hai
koi duniya me hamari tarah barbad na ho
koi duniya me hamari tarah barbad na ho
dil to rota ho magar hontho pe fariyaad na ho
dil to rota ho magar hontho pe fariyaad na ho
de ke ek pyaar bhara dil meri kismat ne kaha
jaa tere pyaar ki duniya kabhi aabaad na ho
jaa tere pyaar ki duniya kabhi aabaad na ho
dil to rota ho magar hontho pe fariyaad na ho
dil to rota ho magar hontho pe fariyaad na ho
pahle chhina tha tujhe ab leli nishaani teri
duniya kahti hai ke dil me bhi teri yaad na ho
duniya kahti hai ke dil me bhi teri yaad na ho
dil to rota ho magar hontho pe fariyaad na ho
dil to rota ho magar hontho pe fariyaad na ho
koi duniya me hamari tarah barbad na ho
koi duniya me hamari tarah barbad na ho
dil toh rota ho magar hontho pe fariyaad na ho