Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Dil Se Hai Shahzade Hum
|
Hemant Kumar | Hemant Kumar | ||||
Laalten (1956) | Indeevar | ||||||
dil se hai shahzade hum
hai surat bhale mawali ki
khali pocket rakhte hai
par photo gita bali ki
dil se hai shahzade hum
hai surat bhale mawali ki
khali pocket rakhte hai
par photo gita bali ki
nahi pakane wali ghar me rah jata dil machal machal
apne dam par hi to pyare shahar ke chalte hai hotel
khali pocket rakhte hai par photo gita bali ki
dil se hai shahzade hum hai surat bhale mawali ki
khali pocket rakhte hai par photo gita bali ki
sapno ka ek mahal hai apna
mahal me dil ki rani hai
waise to ye basti gandi
gali bahut purani hai
dada giri bhale kahe koi
humne to rakhwali ki
khali pocket rakhte hai
par photo gita bali ki
dil se hai shahzade hum hai surat bhale mawali ki
khali pocket rakhte hai par photo gita bali ki
humne koi humdard na paya
aur na kisi ka pyar mila
bhatak gaye ham raaho se
jab khula naa koi dawar mila
aankh khuli to pata chala
ye dagar to hai kutwali ki
arey aankh khuli to pata chala
ye dagar to hai kutwali ki
khali pocket rakhte hai
par photo gita bali ki
dil se hai shahzade hum hai surat bhale mawali ki
khali pocket rakhte hai par photo gita bali ki