Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Dil Sambhaale Sambhalta Nahin Aaj To
|
Mukesh Chand Mathur, Lata Mangeshkar | Kalyanji Anandji | Rajesh Khanna, Babita | |||
Raaz (1967) | Gulshan Bawra | ||||||
dil sambhaale sambhalataa nahi aaj to
dil sambhaale sambhalataa nahi aaj to
paas aane ki de do ijazat hame
paas aane ki de do ijazat hame
dekhie ye hasin sham dhalane ko hai
dekhie ye hasin sham dhalane ko hai
ab to jane kii de do ijaazat hame
ab to jane kii de do ijaazat hame
dekhie ye hasin sham dhalane ko hai
kaise kah de ki jao in aankho se ab
tumko jaate huye dekha jata nahi
kaise kah de ki jao in aankho se ab
tumko jate huye dekha jata nahi
ham bhii majbur hai varna jane ka to
ye khyal apne dil me bhi aata nahi
ye khyal apne dil me bhi aata nahi
jhil sii apnii aankho me pahle zara
jhil sii apnii aankho me pahle zara
duub jane ki de do ijazat hame
ab to jane ki de do ijaazat hame
dekhie ye hasin sham dhalane ko hai
daal di tumne aankho me aankhe agar
jane phir kab sanam aaye ham hosh me
daal di tumne aankho me aankhe agar
jane phir kab sanam aaye ham hosh me
zindagi bhar hame saath rahna hai ab
ham rahenge mohabbat ke aagosh me
ham rahenge mohabbat ke aagosh me
kya bataye hame dar zamane ka hai
kya bataye hame dar zamane ka hai
is zamane ki le do ijaazat hame.n
dekhie ye hasin sham dhalane ko hai