The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Dil Jawaan Hai Aarzu Jawaan (Duet)
0
Talat Mehmood, Asha Bhosle Jaidev
Samundari Daku (1956) Vishwamitra Adil Romantic Songs
Lyrics of Dil Jawaan Hai Aarzu Jawaan (Duet) - दिल जवां हैं आरजू जवां

dil jawa hai, aarzu jawa
ek najar idhar bhi meharban
kab talak ye humse berukhi
kab talak rahegi chup juban
dil jawa hai, aarzu jawa
ek najar idhar bhi meharban
kab talak ye humse berukhi
kab talak rahegi chup juban

ye kya gajab dilruba hai, apne aap se khafa
bari rahegi har ada, jo dil kisi pe aa gaya
gurure dil rahega, fir kaha
ek najar idhar bhi meharban
kab talak ye humse berukhi
kab talak rahegi chup juban

wo husn kya, jo ruth ke nigaho ko na fer le
wo ishq kya, jo chhed ke na julf ko bikher de
wo soz kya, uthe na jo dhua
ek najar idhar bhi meharban
kab talak ye humse berukhi
kab talak rahegi chup juban

mai janta hu ae pari, jhuki jhuki najar teri
uthi to haar jayegi, jurur muskura jayegi
na chhup sakegi dil ki dastan
ek najar idhar bhi meharban
kab talak ye humse berukhi
kab talak rahegi chup juban
dil jawa hai, aarzu jawa
ek najar idhar bhi meharban
kab talak ye humse berukhi
kab talak rahegi chup juban

ajib shay hai pyar bhi, ke jeet bhi hai haar bhi
nasha bhi hai khumar bhi
khiza bhi hai bahar bhi
yahi hai do dilo ki daasta
ek najar idhar bhi meharban
kab talak ye humse berukhi
kab talak rahegi chup juban

gurur hai nashan hai, har ek ada juban hai
ye kaisa imtihan hai, ke hush meharban hai
jami pe jhuk raha hai aasma
ek najar idhar bhi meharban
kab talak ye humse berukhi
kab talak rahegi chup juban

tadap karar ban gayi, khiza bahar ban gayi
dabi dabi jo aag thi
kisi ka pyar ban gayi
mai aa gayi wahi hai dil jaha
ek najar idhar bhi meharban
kab talak ye humse berukhi
kab talak rahegi chup juban
dil jawa hai, aarzu jawa
ek najar idhar bhi meharban
kab talak ye humse berukhi
kab talak rahegi chup juban