Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Dil Diya Daulat Ko Ai Insan Tune Kya Kiya
|
S D Batish, Mohammed Rafi | O P Nayyar | Kishore Kumar, Bhagwan | |||
Bhagam Bhag (1956) | Majrooh Sultanpuri | Funny Songs | |||||
dil diya daulat ko ai insaan tune kya kiya
bhul baitha pyaar ko naadaan tune kya kiya
aankho ko mila yaar se
aankho ko mila yaar se pine ka maja le
aankho ko mila yaar se pine ka maja le
are mit kar kisi dildaar pe jine ka maja le
mit kar kisi dildaar pe jine ka maja le
daulat ki hawas chhod kahi pyaar me kho ja
aur jalwo ki barsaat me hasti ko dubo ja
phir, are phir jhum ke ha
phir jhum ke saawan ke mahine ka maja le
phir jhum ke saawan ke mahine ka maja le
aankho ko mila yaar se pine ka maja le
mit kar kisi dildaar pe jine ka maja le
gaafil kabhi paise ke tu najdik na jaana
khanjar hai yeh khanjar ko gale se na lagaana
yeh jindagi do din ki hai
yeh jindagi do din ki hai jine ka maja le
yeh jindagi do din ki hai jine ka maja le
aankho ko mila yaar se pine ka maja le
mit kar kisi dildaar pe jine ka maja le
daulat se chala pyaas bujhaane tu jigar ki
daulat se chala pyaas bujhaane tu jigar ki
beh ja kahi maujo me kisi mast najar ki
pyaasa hai toh iss mauj se
are pyaasa hai toh iss mauj se pine ka maja le
pyaasa hai toh iss mauj se pine ka maja le
mit kar kisi dildaar pe jine ka maja le
aankho ko mila yaar se pine ka maja le
aankho ko mila yaar se pine ka maja le