Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Dhiraj Dhar Manva Tere Sukh Ke Bhare Din Aayenge
|
Hemant Kumar | Chitragupt | ||||
Balyogi Upamanyu (1958) | Bharat Vyas | ||||||
dhiraj dhar manva dhiraj dhar
tere sukh ke bhare din aayenge
takadir kaa suraj chamkega
gam ke badal hat jayenge
dhiraj dhar manva dhiraj dhar
kyon ghum rahe ho bhanvare se
kyon ghum rahe ho bhanvare se
ghabaraye huye bharamaye huye
teri patjhad ke patte udate
aanchal me basant chhupaye huye
inn kanto ko
inn kanto ko chun chun rakh le
kaliyo ke chaman ban jayenge
dhiraj dhar manva dhiraj dhar
sagar ki tarange takarake
takarake svayn hi dubengi
teree sach ki nav dolegi bahut
dolegi magar naa dubegi
toofano ke
toofano ke jhonke hi teree
naiyya ko kinare lagayenge
dhiraj dhar manva dhiraj dhar
tere sukhake bhare din aayenge
takadir kaa suraj chamkega
gam ke badal hat jayenge
dhiraj dhar manva dhiraj dhar