Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Dhanwano Ki Dhan Nagari Ki Sun Lo
|
Mohammed Rafi | Avinash Vyas | ||||
Dashavtar (1951) | Munshi Sagar Hussain | ||||||
dhanwano ki dhan nagri ki sun lo ram kahani
baba sun lo ram kahani
dhanwano ki dhan nagri ki sun lo ram kahani
baba sun lo ram kahani
rupaiya unka raja
athanni unki rani
chawanni duanni do ladkiyan manmani
siyavar ramchander ki jay
building bangle banwane ki bechaaro ko jhanjhat
aur kiraydaro se pagdi lene ki jhanjhat
bank balance badhane ko vo kare khun ka paani
siyavar ramchander ki jay
are paas na apne building bangla
sadko par hum sote
khate jo bhagwaan khilaye, bhojan ko nahi rote
ram naam hai bank humara jisko na aaye hani
siyavar ramchander ki jay
dhanwano ki dhan nagri ki sun lo ram kahani
baba sun lo ram kahani
dhanwano ki dhan nagri ki sun lo ram kahani
baba sun lo ram kahani
income tax bachane ko vo dhakke khaye dar dar
are unko jhat pukara jaye jan pade jo mander
bhul jaye parmeshawar ko nahi bhule rakam bachaani
siyavar ramchander ki jay
are tex vax ki fikar na kaka
are tex vax ki fikar na kaka
paas na apne numbari
chimta jholi dhan hai apna vastr tan ki chamadi
paas humare aaye jo chinta mar jaaye uski nani
siyavar ramchander ki jay
are sukh hi sukh hai
sukh hi sukh hai hum logo ko joru hai na jata
le de ke bas ek humara ram naam se nata
rakhe ja vid ram rahenge yahi hai man me thani
siyavar ramchander ki jay
dhanwano ki dhan nagri ki sun lo ram kahani
baba sun lo ram kahani
dhanwano ki dhan nagri ki sun lo ram kahani
baba sun lo ram kahani
rupaiya unka raja
athanni unki rani
chawanni duanni do ladkiyan manmani
rupaiya kiska bhaiya
athanni kiski sathi
chawanni duanni yun aati hai yun jaati
tike na hargij ek jagah
ye jaise bahta paani
siyavar ramchander ki jay