Lyrics of Dhai Akhar (Unplugged) - ढाई अखर
dhai akhar prem kahani, bezuban naino ki zubani
dhai akhar prem kahani, bezuban naino ki zubani
padhte hi dil bas kho hi gaya
jiska tha darr wo ho hi gaya
dhai akhar prem kahani, bezuban naino ki zubani
dhai akhar prem kahani, bezuban naino ki zubani
padhte hi dil bas kho hi gaya
jiska tha darr wo ho hi gaya
naina mere mujhse hi chhup ke baraste rahe
phir bhi bezaar na hua
palke bicha bas ik jhalak teri paane ki khatir
dhundhe ye tera hi pata, na jaane ise kya hua
ishq ki aadat wahi purani, thoda sa machla ki nadani
ishq ki aadat wahi purani, thoda sa machla ki nadani
raato ki ninde chura le gaya
jiska tha dar wo ho hi gaya
saanse bahe kuch na kahe dhadke bekhabar
kyun aitbaar na raha
tham ke chale jismo ko khud se mila de ye shatir
karde na koi ye khata, na jaane ise kya hua
pyar me hoti hai manmani, padti hai kimat bhi chukani
pyar me hoti hai manmani, padti hai kimat bhi chukani
soye soye arman jaga ke gaya
jiska dar tha wo ho hi gaya