Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Dene Waale Kisi Ko Garibi Naa De
|
Lata Mangeshkar | Chitragupt | ||||
Patang (1960) | Rajinder Krishan | ||||||
dene waale kisi ko garibi naa de
maut de de magar badnasibi naa de
denewaale
dene waale kisi ko garibi naa de
maut de de magar badnasibi naa de
denewaale
huye paida garib hai yeh kis ki khata
huye paida garib hai yeh kis ki khata
hamko duniya me kyun tune laaya bata
kyun hai chup kuchh bata kuchh bata
kuchh bata denewaale
dene waale kisi ko garibi naa de
maut de de magar badnasibi naa de
denewaale
chheen li har khushi aur kaha ke naa ro
chheen li har khushi aur kaha ke naa ro
ghum hajaaro diye dil bhi dene ke saath
kar ke ham pe sitam khush naa ho khush naa ho
denewaale
dene waale kisi ko garibi naa de
maut de de magar badnasibi naa de
denewaale
chhod kar yeh jaha bol jaaye kaha
chhod kar yeh jaha bol jaaye kaha
koi gamkhaar hai naa koyi meherbaan
khud kahe khud sune daastaan daastaan
denewaale
dene waale kisi ko garibi naa de
maut de de magar badnasibi naa de
denewaale