Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Dekho Ye Ghayal Takdeere
|
Kavi Pradeep | Chitalkar Ramchandra | ||||
Amar Rahe Yeh Pyar (1961) | Kavi Pradeep | ||||||
kahan ho duniya ke rakhwalo
ek nazar in par bhi dalo
dekho ye dukhiyo ki katare
chhin gayi hain inki bahare
ye sare insaan lute hain
inke sab armaan lute hain
inke sapne tut gaye hain
sathi pichhe chhut gaye hain
aise haal huye hain inke
jaise ho tufan ke tinke
haye siyasat kitni gandi
buri hain kitni firka bandi
aaj ye sab ke sab nar nari
ho gaye raste ke bhikari
lute hain lakho suhaag gharo ke
bujhe hain lakho chiraag gharo ke
puchho aaj kahenge ye mukhde
kitni chudiyo ke ho gaye tukde
dekho humne ghar ko kis tarah baanta hain
ek hath me hath dusra kaata hain
dekho ye ghayal taqdeere
gam ki ye jinda tasveere
koi na inko suhagan kahna
kahna ho to abhagan kahna
kahin par inke pyare chhin gaye
kahin par inke dulare chhin gaye
inka dil kuch aisa hain tuta
inko lagta hain jag jhutha
inko hui hain jahan se nafrat
inko hui hain insaan se nafrat
apni ye dukhiyare bahne
kaun si duniya me jaye rahne
inko dhokha dene walo
inse badla lene walo
kaho inhone kya tha bigada
inka ghar kyu tumne ujada
chhin liye kyu inke khilone
kaun sa paap kiya tha inhone
lakho prani juda huye lachar bane
are ye kaisa dharm ki jo diwaar bane
are ye kaisa dharm ki jo diwaar bane
are ye kaisa dharm ki jo diwaar bane
are ye kaisa dharm ki jo diwaar bane