Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Dekh Sakte Nahi Tumko Ji Bhar Ke Ham
|
Mukesh Chand Mathur | Usha Khanna | Dara Singh, Prem Nath | |||
Ilzaam (1971) | Indeevar | Sad Songs | |||||
dekh sakte nahi tumko ji bhar ke ham
dil mein kiske guman kya guzar jayega
tumko apna kahe to kahe kis tarah
sari mahfil ka chehra utar jayega
dekh sakte nahi tumko ji bhar ke ham
tum bhi betab ho ham bhi bechain hain
dil se milne ki hasarat machalne lagi
sabr ka ab to daman sulagne laga
pyaar ki aag sine mein jalne lagi
pyaar ki aag sine mein jalne lagi
tumse milne na paye agar aaj ham
lagta hai dil hi thahar jayega
dekh sakte nahi tumko ji bhar ke ham
ho kisi desh mein ya kisi bhesh mein
shakle apno ki pahachan leta hai dil
tum kaho na kaho ham kahe na kahe
bat dil ki to khud jan leta hai dil
bat dil ki to khud jan leta hai dil
samne bas yun hi muskrate raho
zindagi ka muqaddar sanvar jayega
dekh sakte nahi tumko ji bhar ke ham
jan kar ki gai ya ho anjane mei
duniya wale khata maf karte nahi
duniya walo ka ye julm to dekhiye
deke bhi jo saja maf karte nahi
deke bhi jo saja maf karte nahi
jindgi ban gai kaid insan ki
ab to iljam lekar kidhar jayega
dekh sakte nahi tumko ji bhar ke ham
dil mein kiske guman kya guzar jayega
tumko apna kahe to kahe kis tarah
sari mahfil ka chehra utar jayega
dekh sakte nahi tumko ji bhar ke ham