Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
De Deedar O Dildar
|
Mohammed Rafi | S Mohinder | ||||
Sun To Le Haseena (1958) | Anand Bakshi | ||||||
de deedar o dildar
haye jhank jharokhe se ek baar
aashik tere dar pe aake
ban gaya chokidar ke de deedar o dildar
hota hai kahi kuch khatka
lagta hai mujhe ek jhatka
chhal chalak chalak jata hai
mere armano ka matka
mere armano ka matka
har aahat pe chok ke jaani hota hu taiyar
ke de deedar o dildar
haye jhank jharokhe se ek baar
aashik tere dar pe aake
ban gaya chokidar ke de deedar o dildar
o nakhre takre wali ye raat hai kali kali
kar samne chand sa mukhda
chahe chup ja de kar gaali
chahe chup ja de kar gaali
warna fand ke aajaunga
ye uchi diwar de deedar o dildar
haye jhank jharokhe se ek baar
aashik tere dar pe aake
ban gaya chokidar ke de deedar o dildar
mai tujhpe hoke lattus
tere naam ka ban gaya rattu
tere gam ka utha ke bojha
bana aadmi se mai tattu
bana aadmi se mai tattu
ab tadpa tadpa ke jalim
yu na mujhko maar ke de deedar o dildar
haye jhank jharokhe se ek baar
aashik tere dar pe aake
ban gaya chokidar ke de deedar o dildar