Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Dam Bhar Ka Tha
|
Mukesh Chand Mathur | Anil Biswas | ||||
Maan (1954) | Safdar Aah | ||||||
dam bhar ka tha daur khushi ka
jisko muqaddar loot gaya
jaise chamka ek sitara, aur chamak kar toot gaya
dam bhar ka tha daur khushi ka
khoon mile ye aansu mere
tumko duaaye dete hain
khoon mile ye aansu mere
tumko duaaye dete hain
thes lagaakar chale ho aise, dil ka taala toot gaya
dam bhar ka tha daur khushi ka
khatam hue jal jal ke patange
taare dube, shama bujhi
khatam hue jal jal ke patange
taare dube, shama bujhi
raat ki mahafil ka har saathi, dheere dheere chhut gaya
dam bhar ka tha daur khushi ka
jisko muqaddar loot gaya
jaise chamka ek sitara, aur chamak kar toot gaya
dam bhar ka tha daur khushi ka