Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Chup Ke Hi Chup Ke
|
Sajjad Hussain | |||||
1857 (1946) | Anjum Pilibhiti | ||||||
chupke hi chupke chupke hi chupke na jane
kya ishare ho gaye kya ishare ho gaye
ham to unke ho gaye aur wo hamare ho gaye
haa hamare ho gaye chupke hi chupke
in bhanwro ki ulfat mein naa naa meri aali
dil khot se bharpoor wafa se hai ye khaali
dete hai daga mil ke mohabbat mein niraali
kasme hain ye jhoothhi lagaawat hai ye jaali
unki duniyaa lut gayi jo inke pyaare ho gaye
inke pyaare ho gaye chupke hi chupke
chupke hi chupke ha ha chupke hi chupke
lekin meri sarkar ye baate hai khayali
bajti nahi hargiz kabhi ik hath se tali
ham wo hai ke dil de ke bhi rehte hai sawaali
uspar bhi ye kehto ho mohabbat se hai khali
zindagi bhar ke liye ha zindagi
zindagi bhar ke liye hum to tumhare ho gaye
ha tumhare ho gaye ha ha tumhaare ho gaye
ha tumhaare ho gaye chupke hi chupke
kya kare sa re ga pa ma pa
kya kare sa re ga ga ma pa chupke hi chupke
na jaane na jaane na jane kya ishare ho gaye
kya ishaare ho gaye chupke hi chupke
lalchaye jo aankh teri dekh ke surat
dam bharte hai ulfat ka jo karte hai mohabbat
ik roz yehi layenge sar pe tere aafat
aafat bhi wo aafat ki kahe jisko qayamat
inki baato mein jo aaye
besahare ho gaye besahare ho gaye
chupke hi chupke chupke hi chupke
chupke hi chupke ha ha chupke hi chupke
hai hamse hi duniya mein
tere husn ki shohrat gar ham na huyen
poojega phir kaun ye surat mil jaao mohabbat se
karo ab na baghaawat kab tak ye sitam
ab to karo ham pe inaayat pyaar se kehdo
ae phoolo pyaar se pyar se kehdo ae phoolo
ham tumhare ho gaye ha tumhare ho gaye
ha ha tumhaare ho gaye ha tumhaare ho gaye
chupke hi chupke ham to unke ho gaye
aur wo hamare ho gaye ha hamare ho gaye
ha ha hamare ho gaye ha hamaare ho gaye
zindagi bhar ke liye ham to tumhare ho gaye
ha tumhare ho gaye ha ha tumhare ho gaye
ha tumhaare ho gaye chupke hi chupke