Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Chup Ho Ja Amiro Ke Ye Sone Ki Ghadi Hai
|
Kishore Kumar | Hemant Kumar | ||||
Bandi (1957) | Rajinder Krishan | Philosophical Songs | |||||
chup ho ja chup ho ja
chup ho ja amiro ke ye sone ki ghadi hai
chup ho ja amiro ke ye sone ki ghadi hai
tere liye rone ko bahut umar padi hai
tere liye rone ko bahut umar padi hai
chup ho ja chup ho ja
rona garibo ke liye kaumi tarana
rona garibo ke liye kaumi tarana
mat ro ki meri jan yah hai raag purana
abb gul naa macha dekh woh police khadi hai
chup ho ja chup ho ja
chup ho ja amiro ke ye sone ki ghadi hai
tere liye rone ko bahut umar padi hai
amma teri jannat me hai aur jel me abba
chacha toh tere pehle se hi gol hai dabba
dekh rahi hai naa
kismat teri me likha hai chun-chun kaa murabba
kya kub najar rahu-ketu ki padi hai
chup ho ja chup ho ja
chup ho ja amiro ke ye sone ki ghadi hai
tere liye rone ko bahut umar padi hai
jab dudh nahi kam anguthe se chala le
jab dudh nahi kam anguthe se chala le
khud apna lahu chus ke bhukh mita le ho
tu bhukh mita le
kehte hain jise sabrr are chiz badi hai
chup ho ja chup ho ja
chup ho ja amiro ke ye sone ki ghadi hai
tere liye rone ko bahut umar padi hai
mange se to koyi tera adhikar naa dega
dushman ko koyi kushi se talvar naa dega
lena hai jo duniya se use chhin ke le le
narmi se toh kaudi bhi yah sansar naa dega
himmat se utha le yaha jo chiz padi hai
yah tota yah pistol kagaz ki ghadi hai
yah jamuna ke tat shyaam sang
radha khadi hai dekho
yah jamuna ke tat shyaam sang
radha khadi hai dekho
sach yah hai ki takdir se tadbir badi hai
chup ho ja chup ho ja
chup ho ja amiro ke ye sone ki ghadi hai
tere liye rone ko bahut umar padi hai
chup ho ja chup ho ja