Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Chori Se Chupke Se Le Ke Tera Naam
|
Lata Mangeshkar | Laxmikant Pyarelal | Dharmendra, Saira Banu | |||
Pocket Maar (1974) | Anand Bakshi | Intezaar | |||||
chori se chupke se le ke tera naam
aawaaze deti hun tujhko subah shaam
aaja aaja mujhe hai tera intzaar
aaja aaja mujhe hai tera intzaar
dil ko dilbar tere bin nahi hai karaar
aaja aaja mujhe hai tera intzaar
is mausam-e-bahaar ki angdaaiyo ne maar dala
ulfat ke naam se mujhe tanhaaiyon ne maar dala
sara din bechaini, raate be araam
kis ke haath bheju main tujhko ye paigaam
ke aaja aaja mujhe hai tera intzaar
dil ko dilbar tere bin nahi hai karaar
bikhri thi teri yaad me julfe sanwaar li maine
jitni gujar sake hai raatein gujaar li maine
ab lekin dil aise dhadke subah shaam
samjhana bahlana kuch na aaye kaam
ke aaja aaja mujhe hai tera intzaar
dil ko dilbar tere bin nahi hai karaar
main yun sulag rahi hun dil me lagi ho aag jaise
bedard is jahan me karta hai koi pyaar aise
harjaai rakh dungi balma tera naam
duniya me kar dungi main tujhko badnaam
ke aaja aaja mujhe hai tera intzaar
dil ko dilbar tere bin nahi hai karaar
ke aaja aaja mujhe hai tera intzaar