Lyrics of Chhupa Le Daag-E-Jigar, Ae Dard-E-Jigar Fariyaad Na Kar - छुपा ले दाग़-ए-जिगर, ऐ दर्द-ए-जिगर फ़रियाद ना कर
chhupa le dag-e-jigar daag-e-dil zamane se
ki dard aur badhega inhe dikhane se
ai dard-e-jigar, fariyad na kar bahte hai to aansu bahne de

sahil ki tamanna karta ja, manjhdhar me kashti rahne de
ai dard-e-jigar
hamko to zamane se apna dukh-dard chupaye rahna hai

ho jaye na apni rusawai, har zulm ko has kar sahne de
ai dard-e-jigar, fariyad na kar bahte hai to aansu bahne de
ai dard-e-jigar
dil saup chuke hai ham jin ko ab unse shikwa kya karna

jis hal me rakhna chahe wo, us hal me ham ko rahne de