Lyrics of Chhoti Si Ek Bagiyaa Me - छोटी सी एक बगिया में
chhoti si ek bagiya me
khili nanhi munni si ek kali
shabnam ke sang jhula jhule
aur mast pavan ke sath pali
chhoti si ek bagiya me
khili nanhi munni si ek kali
chhoti si ek bagiya me
khili nanhi munni si ek kali
bachpan ka zamana bit gaya
lo banke suhani rut aayi
aur apne man hi man me
wo kuch muskayi, kuch sharmayi
itne me kahi se ek bhawra
kuch gun gun karta aa pahuncha
aankho aankho me bat huyi
isne dekha usne dekha
nadan kali kuch paaki thi
is taan me sab kuch bhul gayi
aur todke nata bagiya se
bhawre ka daman tham chali
dono ne basa li ek duniya
armano ki, aashao ki
ek duniya mast tarano ki
ek duniya thandi chhanvo ki
chhoti si ek bagiya me
khili nanhi munni si ek kali
chhoti si ek bagiya me khili
chhoti si ek bagiya me
khili nanhi munni si ek kali
chhoti si ek bagiya me
khili nanhi munni si ek kali
hanste hanste kuch din gujre
phir kali ne ek sapna dekha
ek chand ka tukda aangan me
aakash se tut ke aan gira
us chand ke tukde se
duniya un dono ki aabad huyi
lekin ye khushi do din ki thi
do din gujre barbad huyi
bhawre ne kali ko thukraya
aur aankh chura kar chala gaya
tarif yahi hai duniya ki
koi na kisi ka mit hua
bhawre se shikayat kon kare
jab kismat ne muh mod liya
ek phul khilaya khushiyo ka
aur apne hatho tod liya
kyu mujhko diye aansu gam ke
duniya ko hasane wale ne
kyu tod liya hai phul mera
us phul khilane wale