Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Chhin Ke Dil Kyon Pher Lin Aankhen
|
Shamshad Begum, Mohammed Rafi | Naushad | Ulhas Parveen, Shyam, Naseer, Cuckoo, David | |||
Chandni Raat (1949) | Shakeel Badayuni | ||||||
chhin ke dil kyun pher li aankhe jaan gaye ham jaan gaye
laakh adaaye dekhne waale ye bhi ada pehchaan gaye
ham hai tumhaare chaahne waale hamko na tum barbaad karo
dil ne kiya tha dil se jo vaada yaad karo haan yaad karo
haay zara si baat ka bolo aaj bura kyun maan gaye
aankh me shokhi dil me muhabbat dil hai kahi nazre hai kahi
aise chale ho bhed chhupakar jaise hame maalum nahi
tumko qasam hai ab na sataao aaj tumhe ham maan gaye
chhin ke dil kyun pher li aankhe jaan gaye ham jaan gaye
ho na kahi badnaam mohabbat dekho-dekho zubaan se
kuchh na kaho, kuchh na kaho
pyaar ka nagma hamko suna ke lutne waale tum hi kaho
tumne hame pehchaan liya to ham bhi tumhe pahechaan gaye
chhin ke dil kyun pher li aankhe jaan gaye ham jaan gaye