Lyrics of Chand Ko Bana Ke Tere Mathe Ki Bindiya - चांद को बनाके तेरे माथे की बिंदिया
chand ko banake
chand ko banake tere mathe ki bindiya
chand ko banake tere mathe ki bindiya
mang me tere bhar ke sitare
aa tujhe dulhan banadu, aa tujhe dulhan banadu
prit bhare
prit bhare phulo ke sehara banake
prit bhare phulo ke sehara banake
gore gore mathe pe tere sajade
aa tujhe dulha banadu, aa tujhe dulha banadu
chand ko banake tere mathe ki bindiya
chand ko banake
palko pe teri jo khwab saje hai
aaj meri jan sach karke dihkaunga
simte hai armaa jo dil me tumhare
unko hakikat ki dunia banaunga
laz bhari
laz bhari ankhiyo me kajara lagake
laz bhari ankhiyo me kajara lagake
taro bhari rat ki chunri udhake
aa tujhe dulhan bana du, aa tujhe dulhan bana du
chand ko banake tere mathe ki bindiya
chand ko banake
tu meri aankho ka mitha hai sapna
tu meri dhadkan ke taro ki sargum
tujhse basi hai murado ki dunia
tujhse hai jiwan me nagmo ki cham cham
tu meri aankho ka mitha hai sapna
tu meri dhadkan ke taro ki sargum
tujhse basi hai murado ki dunia
tujhse hai jiwan me nagmo ki cham cham
dil ki umange
dil ki umange sari tujhpe lutake
dil ki umange sari tujhpe lutake
gori gori baho ke har pahnake
aa tujhe dulhan banadu, aa tujhe dulhan banadu
chand ko banake tere mathe ki bindiya
chand ko banake
tute kabhi na ye janmo ka bandhan
kitne bhi aaye chahe waqt ke tufa
mera nasib tu tera nasib mai
ab is dunia ka humko kya arma
odh ke odh ke tujhe mai ye julfo ki chadar
odh ke tujhe mai ye julfo ki chadar
aankho ke darpan me tujhko basake
aa tujhe dil me bithalu, aa tujhe dil me bithalu
tere liye
tere liye khusbu baharo se churake
tere liye khusbu baharo se churake
khusbu ko teri raho me bithake
aa tujhe jannat dikhadu, aa tujhe dil me bithalu
aa tujhe dil me bithalu, aa tujhe dil me bithalu
aa tujhe dil me bithalu, aa tujhe dil me bithalu
aa tujhe dil me bithalu