Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Chand Hai Mehman Ae Dil Aaj Ki Is Rat Ka
|
Asha Bhosle | Husnlal Bhagatram | ||||
Tarzan And Circus (1965) | Madhukar Rajasthani | ||||||
chand hai mehmaan ae dil aaj ki is raat ka
shukriya karati nigaahe pyaar ki saugaat ka
chand hai mehmaan ae dil aaj ki is raat ka
shukriya karati nigaahe pyaar ki saugaat ka
chand hai mehmaan ae dil
chhandani aayi hai banke pyaar ki pahali sahar
baandh ke rakhu najar se is sahar ko umr bhar
aa gaya mausam hasin nagmaat ki baaraat ka
chand hai mehmaan ae dil
husn ki aagosh hain aur zindagi madhosh hain
dhadkano me halka halka is milan ka josh hai
chaudavi manjil pe chhaya rang mulakaat ka
chand hai mehmaan ae dil
jhuk gaya kuchh aasama, kuchh jami upar uthi
mil gaye hain do kinaare baat kuchh aisi bani
hai pata bas do dilo ko ek nashili baat ka
chand hai mehmaan ae dil aaj ki is raat ka
shukriya karati nigaahe pyaar ki saugaat ka
chand hai mehmaan ae dil