Lyrics of Chand Ek Beva Ki Chudi Ki Tarah Tuta Hua - चाँद एक बेवा की चूड़ी की तरह टूटा हुआ
chaand ek beva ki chudi ki tarah tuta hua
har sitaara besahara soch me duba hua
gam ke baadal, ik janaaze ki tarah thahre huye
sisakiyo ke saaz par kahta hai dil rota hua
koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai
aansu bhari mujhe qismat mili hai zindagi nashad hai
koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai
ja hava tu rasta le apna, qismat hai meri ji ke tadpana
ja hava tu rasta le apna, qismat hai meri ji ke tadpana
aayi hai mere gam pe javaani, roti hui ik yaad hai
koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai
sukh chuke hai aankho ke jharne, lut liya hame daag-e-jigar ne
sukh chuke hai aankho ke jharne, lut liya hame daag-e-jigar ne
phul nahi ye zakhm khile hain
phul nahi ye zakhm khile hain
aasamaan saiyaad hai, aasamaan saiyaad hai
koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai
koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai
mausam dukho ka sar par hai chhaaya
mujhse juda hai khud mera saaya
mausam dukho ka sar par hai chhaaya
mujhse juda hai khud mera saaya
hum hai akele gam ke hai mele, ruh ki fariyad hai
koi nahi mera is duniya me aashiya barbaad hai