Lyrics of Chand Chupa Badal Me Sharma Ke Meree Jana - चाँद छुपा बादल में शरमा के मेरी जाना
chand chupa badal me sharma ke meri jana
chand chupa badal me sharma ke meri jana
sine se lag ja too balkhake meri jana
gumsum sa hai,gupchup sa hai, madhosh hai khamosh hai
han yeh sama,han yeh sama kuchh aur hai
han han han chand chupa badal me sharma ke meri jana
sine se lag ja too balkhake meri jana
najdikiya badh jane de
arre nahi baba nahi,abhi nahi nahi nahi
ye duriya mit jane de
arre nahi baba nahi, abhi nahi nahi nahi
dur se hi tum ji bhar ke dekho
tum hi kaho kaise dur se dekhu
chand ko jaise dekhta chakor hai
aye gumsum sa hai, gupchup sa hai
madhosh sa hai, khamosh sa hai
yeh sama, yeh sama kuchh aur hai
ho ho ho chand chupa badal me sharma ke meri jana
sine se lag ja too balkhake meri jana
aaja re aaja re chanda ki jab tak too naa aayega
sajana ke chehre toh dekhne yeh man tarsa jayega
naa naa chanda too nahi aana too jo aaya toh
sanam sharma ke kahi chala jaye naa
aaja re aaja re chanda too lakh duwaye payega
naa naa chanda too nahi aana, varna sanam chala jayega
aanchal me too chup jane de
arre nahi baba nahi, abhi nahi nahi nahi
julfo me tum kho jane do
arre nahi baba nahi, abhi nahi nahi nahi
pyar toh nam hai sabra kaa humdam
wohi bhala bolo kaise kare ham sawan ki rah jaise dekhe mor hai
he rehne bhi do jaane bhi do ab chhodo naa muh modo naa
ye sama ha ye samaa kuch aur hai
aaya re aaya chanda ab har khwaish puri hogi
chandani rat me har sajni apne sajna ko dekhegi
aaya re aaya chanda ab har khwaish puri hogi
chandani rat me har sajni apne sajna ko dekhegi
aaya re aaya chanda ab har khwaish puri hogi
chandani rat me har sajni apne sajna ko dekhegi