Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Chale Aaye Re Hum To Chale Aaye Re
|
Lata Mangeshkar | Roshan | Dileep Raj, Mukri, Mumtaz | |||
Daadi Maa (1966) | Majrooh Sultanpuri | Romantic Songs | |||||
chale aaye re hum to chale aaye re
sabse bacha ke ankhiya
ab chahe jo hoy hoy ab chahe jo
duniya bana le batiya
chale aaye re hum to chale aaye re
jab na milan hua kisi bhi jatan se
hum to nikal pade tum sang tan ke
hum to nikal pade tum sang tan ke
pagli diwani hume kahe to kahe sakhiya
chale aaye re hum to chale aaye re
sabse bacha ke ankhiya
chale aaye re hum to chale aaye re
ek to baharo ki rut piya katil
us pe ghazab ye ke mil gaye do dil
us pe ghazab ye ke mil gaye do dil
dil ko diwana kare yahi hai wo din ratiya
chale aaye re hum to chale aaye re
sabse bacha ke ankhiya
chale aaye re hum to chale aaye re
tumne chhua jo mujhe lat meri sarki
chadar tan gayi kare badar ki
chadar tan gayi kare badar ki
kaliyo ne aankhe mundi shakho ne jhukaye patiya
chale aaye re hum to chale aaye re
sabse bacha ke ankhiya
ab chahe jo hoye hoye ab chahe jo
duniya bana le batiya
chale aaye re hum to chale aaye re