Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bulbul Me Hai Nagme Tere
|
Khan Mastana, Mohammed Rafi | Ghulam Mohammad | ||||
Laila Majnu (1953) | Shakeel Badayuni | ||||||
bulbul me hai nagame tere gul me teri bu hai
har saye me tera nur hai har chij me tu hai
aankho me hai tu sanso me hai
tu har dil se tera jalva dur nahi
aankho me hai tu sanso me hai
tu har dil se tera jalva dur nahi
beparda mai dekhu husn tera
beparda mai dekhu husn tera
ye baat mujhe manjur nahi
beparda mai dekhu husn tera
ye baat mujhe manjur nahi
har ek jarre pe likha hai teri ulfat ka fasana
vo dil bekar hai ya rab na ho jo tera diwana
kasam hai tujhko mere dil ki halat puch le mujhse
karam se tere kuch mushkil nahi bighdi ka ban jana
ya bigda bna de kaam apna ya
dil se mita de naam apna
ya bigda bna de kaam apna ya
dil se mita de naam apna
ya dil se mita de naam apna
sajde bhi kare sikve bhi kare bando ka tere dastur nahi
aankho me hai tu sanso me hai tu
har dil se tera jalva dur nahi
tajli hai teri ye chand kya hai chandni kya hai
agar najre salamt hai to jalvo ki kami kya hai
lbo par naam hai tera dilo me yaad hai teri
mohobbat ka fasana hai hamari jindagi kya hai
ghut ghut ke sada hum marte hai
ghut ghut ke sada hum marte hai
ghut ghut ke sada hum marte hai
kab tujhse sikayt karte hai
ghut ghut ke sada hum marte hai
kab tujhse sikayt karte hai
kab tujhse sikayt karte hai
marji hai teri jo chahe kare
mukhtar hai tu majbur nahi
marji hai teri jo chahe kare
mukhtar hai tu majbur nahi
aankho me hai tu sanso me hai tu
aankho me hai tu sanso me hai tu
har dil se tera jalva dur nahi
har dil se tera jalva dur nahi
har dil se tera jalva dur nahi
aankho me hai tu sanso me hai tu