Lyrics of Bujhaa Diye Hain Khud Apane Haathon - बुझा दिये हैं खुद अपने हाथों
bujha diye hai khud apne haatho, mohabbato ke diye jala ke
meri vafa ne ujaad di hai, ummid ki bastiya basa ke
tujhe bhula denge apne dil se, ye faisla to kiya hai lekin
na dil ko maalum hai na ham ko
na dil ko maalum hai na ham ko, jiyege kaise tujhe bhula ke
bujha diye hai khud apne haatho, mohabbato ke diye jala ke
kabhi milege jo raste me, to munh phira kar palat padenge
kabhi milege jo raste me, to munh phira kar palat padenge
kahi sunege jo naam tera
kahi sunege jo naam tera, to chup rahenge nazar jhuka ke
na sochne par bhi sochti hu, ke zindagaani me ky rahega
na sochne par bhi sochti hu, ke zindagaani me kyaa rahega
teri tamanna ko bas me kar ke, tere khayaalo se door jake
bujha diye hai khud apne haatho, mohabbato ke diye jala ke