Lyrics of Buddha Pichhe Pad Gaya - बुढ्ढा पीछे पड़ गया
haye re dekh ke meri jawani
buddhe ke muh me aa gaya pani
kahta aaja meri rani
buddha ye buddha
ye buddha pichhe pad gaya
ye buddha pichhe pad gaya
ri tere gal ke upar til
kahta hai de buddhe ko dil
ke tujhko jaye khajana mil
mai tera, ha tera, ri tera hoke rah gaya
mai tera hoke rah gaya
ye buddha pichhe pad gaya
ye buddha pichhe pad gaya
mai solha ki tu pensath ka
dubke mar besharma
mai solha ki tu pensath ka
dubke mar besharma
baap to mera shankar dada
hey shankar dada
baap to mera shankar dada
veer mera hai dharma
buddhe kyu maut ko bulata hai
teri pasalli denge sek
are tu apni umar to dekh
tere sath na milte lekh
hat raah me mar gaya
re buddha, re buddha
ye buddha pichhe pad gaya
mai tera hoke rah gaya
ankhiyo se mai ankhiya mila ke
le jau takhat hajare
ankhiyo se mai ankhiya mila ke
le jau takhat hajare
raat ko chadhta suraj dekhe
ri suraj dekhe
raat ko chadta suraj dekhe
din me dikhau tare
le aa shankar dada aur dharma
ri o tere do uchke
dono ko dunga aise dhakke
unke mai chhuda du chhake
jo meri raah me aa gaya
main tera, ri tera, ho tera hoke rah gaya
buddha pichhe pad gaya
rog nahi ye tere bas ka
pyar mera anmol
rog nahi ye tere bas ka
pyar mera anmol
jaan bech ke le lu tujhko
ari le lu tujhko
jaan bech ke le lu tujhko
pyar ki boli bol
ri sunke dil ki khidki khol
aisi chal na chal bekar
jinka jisse bhi tha pyar
aakhir mil jayenge yaar
tu khali rah gaya o buddha
o buddha pichhe pad gaya
re buddha pichhe pad gaya
ri tere gal ke upar til
kahta hai de buddhe ko dil
ke tujhko jaye khajana mil
mai tera, ri tera, ho tera hoke rah gaya
mai tera hoke rah gaya
ye buddha pichhe pad gaya
tera dil bhukha rah gaya
tera dil sukha rah gaya
buddha akela rah gaya
tera to kuch na rah gaya