The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Breathless (Reprise)
0
Shankar Mahadevan Shankar Mahadevan
Breatheless (Shankar Mahadevan) (0) Javed Akhtar Remix Songs
Lyrics of Breathless (Reprise) - अब जो मेरे दिन है अब जो मेरे रात है

ab jo mere din hai ab jo mere raat hai
unn me srif annsu hai un me sirf dard hai
ranj ki baate hai aur fariyade hai
mera ab koi nahi me hu ab khoye huye
pyar ki yaade hai dub gaya dil gam ke andhere me
mere sari duniya hai dard ke ghere me
mere sare git dhale aaho me
banke diwana ab yaha waha firta hu
thokar khata hu un raho me
jaha usse dekha tha jaha usse chaha tha
jaha me sada aur baad me roya tha
jaha use paya tha pake khoya tha
jaha kabhi phulo ke kaliyo ke saye the
rangi rangi mehki rut ne rang ki kaliyo pe raas sachaye the
gulshan gulshan din me ujale the
jagmag jagmag nur tha rato me
jhilmil jhilmil jane na khwabo ki dekhi thi manjil
jaha mera kal ki paya tha saya
jaha maine payi thi palko ki chhaw
jaha mere baaho me kal thi kisi ki narm ye bahe
jaha kal ek chehare se hatati nahi thi meri nigahe
jaha kal narmi hi narmi thi
pyar hi pyar tha hatho me hath the
rato me jag jaha gaye the prem tarane
jaha kal dekhe the sapne suhane
kisi ko sunaye the dil ke fasane
jaha kal khai thi jine ki marne ki kasme
todi thi duniya ki sari rashme
jaha kal barsa tha prit ka badal
jaha maine thama tha koi aanchal
jaha pahali bar hua tha main pagal
ab un raho me koi nahi hai
ab hai wo rahe viran viran
dil bhi hai jaise hairan hairan
jane kaha gaya mere sapno ka mela
aise hi khyalo me khoya khoya
ghum raha tha main kab se akela
chamka sitara jaise koi gagan me
gunji jagah koi mere aangan me
kisi ne pukara mujhe mud ke jo dekha
mujhe mil gya khoya hua sahara
jise maine chaha tha jise maine puja tha
laut ke aaya hai thoda sharminda hai thoda ghabaraya hai
julfe paresan hai kapate honth aur bhigi hui aankhe hai
dekh raha hai mujhe gumsum gumsum
uski najar se puchh rahi hai
itna bata do kahi khafa to nahi tum
pyar jo dekha fir meri nigaho me
ab nahi padata wo meri in baho me
bhul gaya jaise mera dil har gam
badal gaya jaise duniya ka mausam
jhume najare aur jhumi fijae
aur jhume chaman aur jhumi hawaye
jaise fir gane lagi sari dishaye
kitani hasin hai kitani suhani
hum dono ki prem kahani
hum dono ki prem kahani
hum dono ki prem kahani