Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bolo Siyavar Ramchandra Ki Jay Hai Jag Mai Jiska
|
Manna Dey | Shankar Jaikishan | ||||
Resham Ki Dori (1974) | Neeraj | Religious Songs | |||||
bolo siyavar ramchandar ki jai
hai jag me jiska nam amar us raghubar ke gum gata hu
insano me bhagwan tha jo us ram ki katha sunata hu
insano me bhagwan tha jo us ram ki katha sunata hu
dasrath ke ghar me janam liya
toda shiv danush sawayamwar me
raj tilak ka din aaya banwas mila apne ghar me
tab panchwati me ek roz sone ka ek hiran aaya
jab ram chale uske piche rawan sita ko har laya
jab ram chale uske piche rawan sita ko har laya
sita satya japat ram satya ka nam
bhitara bahar sab jagah base hai sita ram
bolo siyavar ramchandar ki jai
sita darshan pane ke liye mandir mandir ke man me bhatke
sab ko bhatkane wala wahi sita ke bina ban ban bhatke
raja ko banaya banvasi dekho ye ishwar ki maya
jisko chal na saka koi bhi sone ke hiran ne bharmaya
jisko chal na saka koi bhi sone ke hiran ne bharmaya
raghuwar ka jab dukh badha chale veer hanuman
ja pahuche lanka puri karte parbhu ka dhyan
bol bajrang bali ki jai
phulo ki ek vatika me vanar ne dekha sita ko
jakar parbhu ka sandesh diya jag janni kunj punita ko
tab meghnath ne ja pakda or punch me aag laga dali
us agni se bajrangi ne sab lanka rakh bana dali
us agni se bajrangi ne sab lanka rakh bana dali
ram nam hai punya ka rawan pap ka nam
dono ke sangram ka ab dekho parinam
bolo siyavar ramchandar ki jai
jab teer chale sachai ke aakhir to burayi har gayi
aur ram ki sena naw bina pal bhar me sagar par gayi
das shish the jiske sar pe aur maut rahi jiske ghar ban dasi
ek teer se mar gaya koi sidha sacha banwasi
ek teer se mar gaya koi sidha sacha banwasi