Lyrics of Bolo Har Har Har - बोलो हर हर हर
aag bahe teri rag me, tujhsa kaha koi jag me
hai waqt ka tu hi to pehla pehar
tu aankh jo khole to dhaaye kehar
to bolo har har har, to bolo har har har
to bolo har har har
na aadi na ant hai uska
wo sabka na inka unka
wahi maala, wahi hai manka
mast malang wo apni dhun ka
jantar mantar tantar gyani
hai sarvagya swabhimaani
mrityunjay hai mahaa-vinaashi
omkar hai isi ki vaani
isi ki, isi ki, isi ki vaani
isi ki, isi ki, isi ki vaani
bhaang, dhatura, bail ka patta
teeno lok isi ki satta
vish peekar bhi adig amar hai
mahadev har har hai japta
wahi shoonya hai wahi ikaay
wahi shoonya hai wahi ikaay
wahi shoonya hai wahi ikaay
jiske bheetar basaa shivaay
to bolo har har har
to bolo har har har
aankh moond kar dekh raha hai
saath samay ke khel raha hai
mahadev mahaa ekaki
jiske liye jagat hai jhanki
jata me ganga chaand mukut hai
saumya kabhi, kabhi bada vikat hai
aag se janma hai kailashi
shakti jiski daras ki pyaasi
hai pyaasi, haan pyaasi
ram bhi uska, raavan uska
jeevan uska maran bhi uska
taandav hai aur dhyan bhi wo hai
agyaani ka gyaan bhi wo hai
aankh teesri jab ye khole
hile dhara aur swarg bhi dole
goonj uthe har disha kshitij mein
naad usi ka, bam bam bhole
wahi shoonya hai wahi ikaay
wahi shoonya hai wahi ikaay
wahi shoonya hai wahi ikaay
jiske bhitar basa shivaay
tu hi shiva tujhme hi shiva
koi nahi yahaan tere sivaa
uda raakh agni ko jwaala tu kar
mita de andhere tu ban ke sehar
to bolo har har har
ja ja kailash, ja kar vinaash
ja ja kailash, ja kar vinaash
ja ja kailash, ja kar vinaash
ja ja kailash kar sarvnash
ja ja kailash, ja kar vinaash
ja ja kailash, ja kar vinaash
ja ja kailash, ja kar vinaash
ja ja kailash kar sarvnash
aankh moond kar dekh raha hai
saath samay ke khel raha hai
mahadev mahaa ekaki
jiske liye jagat hai jhanki
jata me ganga chaand mukut hai
saumya kabhi, kabhi bada vikat hai
aag se janma hai kailashi
shakti jiski daras ki pyaasi
to bolo har har har