Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bilqis (Jinhe Naaz Hai)
|
Rabbi Shergill | Rabbi Shergill | ||||
Avengi Ja Nahin - Rabbi Shergill (2008) | |||||||
mera naam bilqis yakub rasul
mujhse hui bas ek hi bhul
ki jab dhundte the vo ram ko
to main kha rhi thi raah mein
pehle ek ne puchha na mujhe kuch pata tha
duje ko bhi mera yehi javab tha
itno ne puchha ki mera ab saval hai ki
jinhe naaz hai hind par vo kaha the
jinhe naaz hai vo kaha hai
mera naam shriman satyendra dubey
jo kehna tha vo keh chuke
ab parhey hai rah mein
dil mein liye ik goli
bas itna kasur ki hamne likha tha
vo sach jo har kisi ki zuban tha
par sach yahan ho jate hai zahrile
jinhe naaz hai hind par vo kaha the
jinhe naaz hai vo kaha hai
mujhe kehte hai anna manjunath
maine dekhi bhatakti ek laash
zamir ki beech sadak lakhimpur kherhi
adarsh phasan jahan naaro mein
aur chor bharey darbaron mein
vahan maut akhlaq ki hai ik khabar baasi
jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
jinhe naaz hai vo kaha hai
mazha nau aahe navleen kumar
unnees june unnees bar
unnees unnees unnees unnees
unnees baar
unnees unnees unnees unnees
unnees unnees unnees unnees
unnees unnees unnees unnees unnees baar
looto dehaat kholo bazaar nallasopara aur virar
chheeno zameen hamse hame bhejo pataal
jinhe naaz hai hind par vo kaha hai
jinhe naaz hai vo kaha hai
jinhe naaz hai vo kaha hai
jinhe naaz hai vo kaha hai
jinhe naaz hai vo kaha hai