Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bidaai Ki Ghadi Aayi
|
Lata Mangeshkar | Laxmikant Pyarelal | Jeetendra, Asrani, Madan Puri, Durga Khote, Leena Chandavarkar | |||
Bidaai (1974) | Anand Bakshi | Sad Songs | |||||
bidaai ki ghadi aayi
mere bachcho kyun rote ho
mere bachcho kyun rote ho
hanso dukhi tum khun hote ho
tum meri muskaan to dekho, jati maa ki shan to dekho
mann mein koyi pyaas nahi hai, baaki koyi aas nahi hai
god me jhulate tumako dekha, halake phulate tumako dekha
bete bahuye pote dekhe, kaary safal sab hote dekhe
mere karam huye sab puran, maa ke dharm huye sab puran
maa mitti hai mamata dharati, maa ke sang mamata nahi marati
tum tukade ho mere dil ke
tum tukade ho mere dil ke, is ghar mein rehana milake
aaya jaaya karungi aangan banake main purwaayi
aaya jaaya karungi aangan banake main purwaayi
bidaai bidaai