Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Bichhde Hue Pardesi Ik Baar To Aana Tu
|
Lata Mangeshkar | Shankar Jaikishan | Nargis, Nimmi, Raj Kapoor, Prem Nath | |||
Barsaat (1949) | Hasrat Jaipuri | Sad Songs | |||||
bichhade huye paradesi
bichhade huye paradesi ik baar to aana tu
jab aankh milaayi hai nazare na churaana tu
bichhade huye paradesi
vaade bhi kiye tune khaayi thi qasam meri
vaade bhi kiye tune khaayi thi qasam meri
vaado pe hi jiti hu hai aas mujhe teri
vaado pe hi jiti hu hai aas mujhe teri
itni hai aarazu meri
itni hai aarazu meri mujhko na bhulaana tu
jab aankh milaayi hai nazare na churaana tu
bichhade huye paradesi
duniyaa mujhe chhine hai sabne mujhe ghera hai
duniyaa mujhe chhine hai sabne mujhe ghera hai
aur meri zubaan par to bas naam hi tera hai
aur meri zubaan par to bas naam hi tera hai
duniya na hanse mujh par
duniya na hanse mujh par itna na rulaana tu
jab aankh milaayi hai nazare na churaana tu
bichhade huye paradesi
gairo kaa na ho jaana jab apna banaaya hai
gairo kaa na ho jaana jab apna banaaya hai
paas aa ke na kho jaana jab dil me basaaya hai
paas aa ke na kho jaana jab dil me basaaya hai
jo baat kahi tune
jo baat kahi tune vo baat nibhaana tu
jab aankh milaayi hai nazare na churaana tu
bichhade huye paradesi
bichhade huye paradesi ik baar to aana tu
jab aankh milaayi hai nazare na churaana tu
bichhade huye paradesi